Kya Hai Ye Failure (Short Story)

85 views 5:38 pm 0 Comments November 16, 2019

क्या हे फेलियर ?

What is failure?

Ek soch.. Ek dar…
Ya fir pair mei lgi wo moch..
Jo hume aage  bdhne se hmesa rokti hai..
Hum ye kyu accept nahi krte ki jeetna hi sab kuch nahi hota..
Kahi-kbhi haar bhi hume bhut kuchh sikha deti h..


So main Anirudh Singh or meri aaj ki ye story bhi ek esi kahani hai jisme ek insaan jiska naam Kabir hai apni jindagi mei to haar jata h lekin bhut logo ko ek baat sikha jata hai ki esa kisi or ke sath mat karna…

Teen dosto ka Group hota hai..
Teeno engineering final year ke students hote hai..or teeno bs yahi sapna dekhte hai ki engineering karne baad ek achi job hogi.. Jisse wo pyar krte hain usse shadi hogi.. Ek hasti khelti family hogi..teeno apne final year k exam dene ke baad apne result ka wait kr rhe hote hai..ki kab result aaye or kab bhaag pade apne khwabo ko pura karne..


Ese hi ek sham kabir ke dono dost rahul or sanjay ek Park mei baith ke aage kya karna hai kya nahi issi baat pr discuss kr hi rhe hote hai ki… Dusri Taraf se Kabir bhagta huya aata h or sidha rukta hai rahul or sanjay ke pass.


Dono usko ese dekh puchhte hai ki kya huya itna bhagte huye kyu aaya..
To kabir batata hai ki Result aa gya.. Teeno ke chehre pe muskaan aa jati hai ki chalo ab jo khwab unhone dekhe the wo hum pura kar sakte hain.. Badi hi khusi k sath rahul apna result dekhta hai.. To rahul pass..Sanjay apna dekhta hai to sanjay bhi pass..ab bari aati hai kabir ke result ki..

Or jab kabir ka result samne aata h to teeno shocked rah jate hain..Kunki kabir fail ho chuka hota hai.. Fail hone ke baad bhi wo muskurata hai or kahta hai ki tum dono pass ho gye mere liye itna hi kafi hai.. Mujhe khusi hai ki mere bhai se badhkar dost pass ho gye hai..


Ye sab bate wo kah to deta hai lekin uske dil mei ek mayusi chha jati hai.. Or isi mayusi ke sath jab wo ghar jata hai to ghar mei kadam rakhte hi dekhta hai ki uski puri family hato m mithayian liye khadi hai ye janne ke liye ki unka beta kis division se pass huya lekin wo ye kis muh se btaye ki unka beta division to chhodo pass hi ni ho paya..
Wo jata hai apni family ke pass bolta hai ki pa….


Uske muh se papa bhi ni nikal pata…
Lekin fir bhi himmat karke.. Ankho m ansu liye..
Bolta hai.. Papa mujhe maaf krdo maine apka sapna tod diya main pass nahi ho paya..


Itna sunta hai uske papa ke chehre ki sari khusi gusse mei or jo muthayi kuchh lamha phle haatho mei thi wo ab jameen pr bikhri padi thi..
Kabir apne ghrwalo se najre nahi mila pa rha tha..


Iske bad uske papa use log smaaj ristedar kya kahenge ye sb to bolne lge lekin ye nahi bola ki koi baat ni ye jindgi yha haar or jeet to lagi rhti hai..aaj fail huya hai to kal pass bhi ho jata..lekin nahi unhe bete ke fail hone hone se jyada logo k tane sunne ko milenge is bat se dukh tha..


Iske bad kabir gya apne room mei or jake khud ko lock ko lock karke darwaje ke hi sahare baith gya or sari raat rota rha..
Subah huyi… Kabir baitha apne papa k kadmo mei unke pair dbate huye mafi maag rha hai fail hone ki.. Or uske papa abhi bhi wahi atke hai tujhe to hmari ijjat ka bilkul bhi khyal nahi rha..


Itne mei call aati hai ristedar ki or sbse phla word jo kha wo ye ki humne suna hai apka beta fail ho gya…


Or itna sunte hi kabir k papa ka muh sharm se jhuk gya.. Kabir ke hath ruk gye…
Or badi hi sharmindgi se kabir ke papa ne bola.. ‘Haan’
Or iske baad papa khade huye.. Or bina kuchh bole chal diye apne room ki taraf..
Iske bad samay beetata gya..

Din gujrta tha papa or logo k tane sunke or raat.. Dosto or girlfriend se baat karke..
Kuchh dino tak ese hi chalta rha..


Ek raat kabir so rha hota hai.. Uske phone pr call aata hai uski girlfriend ka or bolti hai.. Suno mujhe aaj ke baad call mat krna..hmara jo bhi rishta tha aaj wo khatm..
Kabir puchhta hai kya huya… Achanak se esi baat kyu kah rhi ho.. To jwab milta hai ki.. Kya bolungi gharwalo se ki ladka final year mei aake fail ho gya.. Naa Nokri hai na hi koi future.. Isiliye bss mujhe aaj ke baad call mat karna…


Or itna bolke phone cut.. Wapas call krta hai lekin call connect nahi hoti.. Ek hi pal mei kabir ki to duniya hi khatm jaha shadi ke sapne dekhe the dono ne sath milke or aj kabir k bure wqt mei ussi ne sath chhod diya..thode samay baad kabir khud ko sambhalta hai.. Or call karta hai apne bhaio se badh kar dosto ko Lekin…


Lekin wo dono dost bhi bol dete hain ki.. Bhai tere pass to koi kaam hai nahi to please hume yu daily daily pareshan naa kiya kar..
Iske baad uski puri raat bas rote huye gujarati hai.. Or subah jab uski ankh lagti hai to use khud nahi pta hota ki duphar ke 2 bajne ko aaye..


Papa room mei aate hai or aate hi.. Tujhe sharm to rahi nahi… Ghar ka koi kaam hota nahi.. Pada tujhse gya nahi.. Or duphar ke 2-2 bje tak sona hai.. Mujhe to ye hi smjh nahi aata ki tu jinda hi kyu hai.. Ja jake marja jake kahi..


Or itna bolke papa to room se chale jate hain lekin in bato se or raat jo huya usase kabir is kadar depression mei chala jata hai ki bina kuchh soche samjhe uthata hai or bhagta hai sidha apni chhat ki taraf.. Or uske dimag mei bas yhi bate chal rahi hoti hai jo uske sath ho chuki thi..


Uske papa ne uska sath nahi diya..
Jisse shadi hone wali thi usne chhod diya..
Bhai jese dosto ne bol diya hume preshan na kar..
Or inhi bato k sath chhat k kinare khada ankhe band bahe khuli.. Or bina kuchh soche samjhe kood kar apni jaan de deta hai..


Jabki uska kasoor sirf itna tha ki wo ek exam mei fail huya tha…
Kyu uske parents ne use as a failure accept nahi kra.. Kyu un dosto se sath chhod diya jinhone engineering ke 4 sal sath gujare…
Kyu uss ladki ne bharosa nahi kiya jo shadi karne wali thi..
Akhir kyuu…???

Kyunki wo Fail ho gya tha..bs itna hi na..
Aree fail hi to huya tha koi murder to nahi kiya tha na…
Kyun usko esa feel kraya jese ab uski is duniya mei koi jagah hi nahi bachi…


Lekin marne ke baad wo ek sabak bana logo ke liye ki agar baccha fail ho jaye to usse pyar se samjhana chahiye uska sath dena chahiye…naki usko yun ahsaas dilana ki usne Koi paap hi kar diya ho…


Or akhir mei kahna chahta hu…
Na krayo ahsaas kisi ko itna uski galti ka
Ki wo ghut-ghut ke jeene lage..
Aree aj fail hi to huya tha..
To kal pass bhi ho jata..
Ab chal diya hai bin bole duniya chhod ke
Ye mat bhoolo khoon wo tumhara hi tha

🙏🙏🙏

Tags:

One thought on “Kya Hai Ye Failure (Short Story)”

  • My brother suggested I might like this blog. He was totally right.
    This post truly made my day. You can not imagine just how much time I
    had spent for this information! Thanks!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Previous Next
Close
Test Caption
Test Description goes like this
%d bloggers like this: